Sunday, July 28, 2013

Chala chal tu chala chal tu chala chal tu

Dil mei jawaland jwala..
Bujhne na de..
Dharti ke dhool se asman ke taron tak..
Badlon ko cheerta chalta chal tu..
chala chal tu chala chal tu chala chal tu

Nirasha ke vicharon se..
Asha ki umeedon tak..
kahin ruk na tu..
kahin thak na tu..
Marq mei aye rukawaton se seekhta chal tu..
chala chal tu chala chal tu chala chal tu

Tere kadam ruke nahi..
Tera sheesh jhuke nahi..
Dil ke jwalant tufaan se..
Jag ko jagata chal tu..
chala chal tu chala chal tu chala chal tu

Jivan aur mrityun se dur..
vicharon ke sansar se dur..
Us adhrishya ko mahsoos kar..
Tujhme samati shristi ka..
Tanik bhi sandeh na kar tu..
chala chal tu chala chal tu chala chal tu

No comments:

Post a Comment